Aarti Shri Gayatri Ji Ki


This is the aarti of Goddess Gayatri  who in Hinduism is the combination of all the three faces of creation. She is portrayed as shinning with unmatched brilliance. She is the mother of the Gods and the holy Vedas.

Aarti Shri Gaayatri Ji Ki,
Gyan Deep Aur Shradhaa Ki Baati,  
So Bhakti Hi Purti kare Jaha Ghee Ki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.
Maanas Ki Suchi Thaal Ke Upar,  
Devi Ki jyoti Jage, Jaha Niki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.
Shudh Manorath Ke jaha ghanta,  
Baaje Kare Puri aasahu Hi Ki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.
Jaake samaksh Hume Tihu Lok Ke,  
Gaddhi Mile Tabhu Lage Fiki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.
Sankat Aave Na Paas Kabo Tinhe,  
Sampada Aur Sukh Ki Bane Liki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.
Aarti Prem So Nem So Kari,  
Dhyavahi Murti Bramha Lali Ki.
Aarti Shri Gaayatri Ji Ki.

Posted By : Vinod Jindal on Dec 27, 2010


 
 

© 2024 Holydrops. All Rights Reserved