Mangal mai bhya mochini,
Durga sukh ki khaan,
Jiske charno ki sudha,
Swayam piye bhagwaan….
Dukh naasak sanjeevani,
Nav durga ka paath,
Jisse banta bhiksu kabhi,
Duniya ka samraat….
Amba divya swarupini,
Kaaye so prakaas,
Prithvi jisse jyotirmay,
Ujawal hai aakash….
Durga param sanaatni,
Jag ke seer jan haar,
Aadi bhawaani maha devi,
Sristi ka aadhaar….
Jai jai durge maa…2
Sad maarg pradarsini,
Nyaan ka ye updesh,
Mann se karta jo manan,
Uske kate kaless….
Jo bhi vipatti kaal mein,
Kare ri durga jaap,
Puran ho man kaamna,
Bhaage dukh santaap….
Utpan karta visv ki,
Shakti aprampaar,
Iska archan jo kare,
Bhav se utre paar….
Durga sok vinaasini,
Mamta ka hai roop,
Sati saatvi satvanti,
Sukh ke kalaa anup….
Jai jai durge maa…2
Vishnu brahma rudra bhi,
Durga ke hai adheen,
Buddhi vidya vardaani,
Sarva siddhi praveen….
Laakh choraasi oniyaan,
Se ye mukti de,
Maha maya jagdambike,
Jab bhi dayaa kare….
Durga durgati naasini,
Shiv vaahini sukhkaar,
Ved mata ye gaayatri,
Sabke paalan haar….
Sadaa suraksit wo jan hai,
Jis par maa ka haath,
Vikat dagariyaa pe uski,
Kabhi na bigde baat….
Jai jai durge maa…2
Maha gouri vardaayini,
Maiiya dukh nidaar,
Shiv duti brahamcharini,
karti jag kalyaan….
Sankat harni bhagwati,
Ki tu maala pher,
Chinta sakal mitayegi,
Ghadi lage na der….
Paaras charnan durga ke,
Jhuk jhuk maata tek,
Sona lohe ko kare,
Adbut koutak dek….
Bhavtaarak parmeswari,
Leen kare anant,
Kiske vandan bhajan se,
Paapo ka ho ant….
Jai jai durge maa…2
_________________________________________
Durga maa dukh harne waali,
Mangal mangal karne waali,
Bhaye ke sarp ko maarne waali,
Bhav needhi se jag taarne waali….
Atyaachar paakhand ki damni,
Ved purano ki ye janani,
Detya hi abhimaan ke maare,
Deen heen ke kaaj sanwaare…
Sarv kalaahon ki ye maalik,
Sarnaagat dhan heen ki paalak,
Ichchit var pradaan hai karti,
Har muskil aasan hai karti….
Dhyaamari ho har bhram mitaave,
kan kan bhitar kalaa dikhaave,
Kare asambhav ko ye sambhav,
Dhan dhaanye or deti veybhav…..
Maha siddhi maha yogini mata,
Mahisa sur ki mardini mata,
Puri kare har mann ki aasa,
Jag hai iska khel tamaasa….
Jai durga jai jai damyanti,
Jeevan dayini ye hi jayanti,
Ye hi saavitri ye koukaari,
Maha vidya ye karo upkaari….
Siddh manorath sabke karti,
Bhakt jano ke sankat harti,
Vis ko amrit karti pal mein,
Yehi teiraati patthar jal mein….
Iski karuna jab hai hoti,
Maati ka kan banta moti,
Patjhad mein ye phool khilaave,
Andhiyaare mein jyot jalaave…..
Vedon mein varnit mahima iski,
Aisi sobha or hai kiski,
Ye narayani ye hi jwaala,
Japiye iske naam ki mala….
Ye hi hai sukeshwari mata,
Iska vandan kare vidhaata,
Pag pankaj ki dhuli chandan,
Iska dev kare abhinandan….
Jagdamba jagdiswari,
Durga dayaa nidhaan,
Iski karuna se bane,
Nirdhan bhi dhanwaan….
Chin masta jab rang dikhaave,
Bhagyheen ke bhagya jagaave,
Siddhi daati aadi bhawaani,
Isko sewat hai brahm gyaani…..
Syel sutama sahkti saala,
Iska har ek khel niraala,
Jis par hove anugrah iska,
Kabhi amangal ho na uska….
Iski dayaa ke pankh lagaa kar,
Ambar chute hain kayi chaakar,
Rayi ye hi parwat karti,
Gaagar mein hai saagar bharti…
Iske kabze jag ka sab hai,
Shakti ke bin shiv bhi sav hai,
Shakti hi hain shiv ki maya,
Shakti ne brahmmad rachaaya….
Is sakti ka saadhak banna,
Nisthawaan upaasak banna,
Puspaanda bhi naam hai iska,
Kan kan mein hai ghaam iska….
Durga maa prakaas swaroopa,
Jap tap gyaan tapasya roopa,
Mann mein jot jalaa lo iski,
Saachi lagan lagaa lo iski….
Kaal raatri ye maha maya,
Shridhar ke seer iski chaaya,
Iski mamta paawan jhula,
Jisko dhyaanu bhakt na bhula….
Iska chintan chinta harta,
Bhakto ke bhandaar hai bharta,
Saanso ka sur mandal chedo,
Nav durga se muh na modo….
Chandra ghanta ka tyaa aayni,
Maha dayaalu maa shiwani,
Iski bhakti kast niwaare,
Bhav sindhu se paar utaare….
Agmanant agochar maiiya,
Sheetal madhukar iski chaiiya,
Sristi ka hai mul bhawaani,
Ise kabhi na bhulo praani….
Durga maa prakaas swaroopa,
Jap tap gyaan tapsya roopa,
Mann mein jot jalaa lo iski,
Saachi lagan lagaa lo iski…
|