Kalptaru punyaatma prem sudha shiv naam Hitakark sanjeevani shiv chintan aviram Patit pavan jaise madhu shiv ras nake ghol Bhakti ke hansa hi chuge moti yeh anmol Jaise tanik suhaga sone ko chamkaye Shiv sumiranse aatma adbudth nikhari jaaye Jaise chandan vrish ko daste nahi hai naag Shiv bhakto ke chole ko khabi lage na daag Om Nama om Shivaya (2) Daya nidhi bhuteshwar shiv hai chatur sujan Kan kan bheetar hai base neelkanth baghwaan Chandrachud ke netra umapati vishvesh Sharnagait ke yeh sada pake sakal anek Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel Aag aur paani kaa jaise hota nahi hai mail Bhayabhanjana nataraj hai damru wale naath Shiv ka vandan jo kare shiv hai unke saath Om Nama om Shivaya (2) Lakho ashwadmedh ho so ganga asnaan Inse uttam hai kahi shiv charnoo ka dhyaan Alakh niranjan nathse upje aatma gyaan Bhatke ko rastaa mile mushkil ho aasaan Amar guno ki khan hai chit shudhi shiv dhyan Sat sangati mein baithke karlo praschyaataap Lingeshwar ke mananse sidh ho jaate kaaj Namo shivaiye ratata jaa shiv rakhenge laaj Om Nama om Shivaya (2) Shiv charnoo ko chunese tanman pavan hoi Shiv ke roop anupki samata kare na koi Mahabali mahadev hai maha prabhu maha kaal Asur nikandan bhakt ki peeda hare tatkaal Sarvyapee shiv bhola dharm roop sukh kaal Amarananta bhagwanta jagke palan haar Shiv karta sansaar ke shiv shrishti ke mool Rom rom shiv ramne do shiv na jaiyyo bhul Om Nama om Shivaya (2) |
Posted By : Vinod Jindal on Aug 09, 2011 |
||