Shri Lakshmi Chalisa


Lakshmi Mata is the goddess of wealth, wisdom, prosperity, grace, generosity and charm. A person who  recites this prayer with true devotion is blessed with wealth and prosperity.The worship of Laxmi and the regular chanting of the chalisa is recommended, to those wishing to free their  Karma of all the past misdeeds.




Matu lakshmi kari kripa, karo hridaya me vas
manokamna sidh kare purvahu meri aas
yahi more ardas hath jor vinti karon
sabvidhi karo suyas jaya jnani jagdambika


sindu suta main sumro tohi, gyan budhi vidya do mohi.
Tum saman koi nahi upkari, sab vidhi purbahu aas hamari.
Jai jai jagat janani jagadamba, sabake tumahi ho avalamba.
Tuma hi ho sab ghat ghat ke vasi, vinati yahi hamari khasi.
Jag janani jaya sindhu kumari, dinan ki tum ho hitakari.
Vinavaun nitya tumahin maharani, kripa karau jaga janani bhavani.
Kehi vidhi stuti karaun tihari, sudhi lijai aparadh bisari.
Kripa drishti chitavo mam ori, jagata janani vinati sun mori.
Gyan buddhi jaya sukh ki data, sankat haro hamari mata.
Kshira sindhu jab vishnu mathayo, chaudah ratna sindhu men payo.
Chaudaha ratna men tum sukharasi, seva kiyo prabu ban dasi.
Jab jab janma jahan prabhu linha, rup badal tahan seva kinha.
Svayan Vishnu jaba Nara tanu dhara, linheu avadhapuri avatara.
Tab tum prakat janakapur mahin, seva kiyo hridaya pulakahin .
Apanayo tohi antaryami, vishva vidit tribhuvan ki svami.
Tum sab prabal shakti nahin ani, kahan tak mahima kahaun bakhani.
Man kram vachan karai sevakai, manichhita phal pai.
Taji chala kapat aur chaturai, puujahin vividh bhanti man lai .
Aur hal main kahaun bujhai, jo yah path kare man lai.
Tako koi kasht na hoi, man ichhita  pavai phala soi.
Trahi trahi jaya duhkh nivarini, trividh tap bhav bandhan harini.
Jo yah chalisa padhe padhave, dhyan lagakar sune sunavai.
Tako koi na rog satavai, putra adi dhan sampatti pavai.
Putrhin aru sampatti hina, andha badhir kodhi ati dina.
Vipra bolaya kai path karavai, shanka dil men kabhi na lavai.
Path karavai din chalisa, ta par kripa karain gaurisa.
Sukh sampatti bahut si pavai, kami nahin kahuu ki avai.
Barah maa karai jo puja ,tehi sam dhany aua nahin duja.
Pratidin karai man mahin, uan sam koi jag men kahu nahin.
Bahu vidhi kya main karaun badai, leya pariksha dhyana lagai.
Kari vishvas karain vrat nema, hoy siddha upajai ura prema.
Jya jaya jaya lakshmi maharani, sab men vyapita ho gun khani.
Tumharo tej prabal jag mahin, tum sam kou dayal kahuun nahin.
Mohi anath ki sudhi ab lijai, sankat kati bhakti mohi dije .
Bhul chuk kari kshama hamari, darshana dijai dasha nihari.
Bin darashan vyakul adhikari, tumahin akshat dukh sahate bhari.
Nahin mohin gyan buddhi hai tan men, sab janat ho apane man men .
Rup chaturbhuj karake dharan, kasht mor ab karahu nivaran.
Kehi prakar main karaun badai, gyan buddhi mohin nahin adhikai.



Trahi trahi dhukh harini, haro bhegi sab tras
Jayati jayati jay laxmi, karo dushman ka nash
Ramdas dhari dyan nit, vinay karat kar jor.
Matu laxmi das par, karhu daya ki kor .

Posted By : Vinod Jindal on Dec 21, 2010


 
 

© 2024 Holydrops. All Rights Reserved